Monday, August 4, 2008

क्या करे

क्या करे जब बात बिगड़ जाए
क्या करे जब कोई बिछड़ जाए
हम तो बात बनाना चाहते है
हम तो उन्हे पाना चाहते है

Sunday, August 3, 2008

Socha Na Tha

Socha Na Tha
Aisa Bhi Honga

Jab Hum Royenge
Ye Duniya Aur Rulayengi

Jab Thamege Daman Unka
Wo Daman Bachayenge

Socha Na Tha..........

Jab Yaad Karenge Unko
Wo Samne Se Gujar Jayenge

Palkon Me Sajayenge Unko
Aur Wo Aankhon Me Nastar Chalayenge

Socha Na Tha..........

Aisa Ho

Jab Likhta Hun To
Syahi Khatam Ho Jaati Hai

Jab Sota Hun To
Neend Chali Jati Hai

Jab Chalta Hun To
Rahe Khatam Ho Jati Hai

Kash Aisa Ho Tanhai Maangu To
Viraniya Khatam Ho Jaye

Main Rahun Pareshan To
Tum Kush Nazar Aao.

Jo Likha So Sahi

Jab Hawa Chalti Hai
To Chalti Hi Chalti Hai

Jab Badal Udte Hai
To Udte Hi Udte Hai

Jab Barish Hoti Hai
To Hoti Hi Hoti Hai

Aur Jab Hum Likhte Hai
To Aap Padte Hi Padte Hai.